Khush Raho Ahle Chaman...
By Administrator, on 21-01-2008 12:48
Views : 90
Favoured : 2
Published in : About Rafi Sahab, Media Talks
The following article was published in Filmi Kaliyaan in October 1980 edition, it has some rare photographs from Rafi sahab's last journey to the heavens above. Can't thank Samarjit Acharjee (from Hyderabad) enough for providing the scanned copy of the article and Aseer bhai for taking so much pain to transliterate (convert from devnagri script to english script) the entire article which is in Hindi. Read the article with a pinch of salt, because it may not be factually correct, we have not modified its content and hence any error in the reported facts or incidence is soul responsibility of the original author for the Fimli Kaliyan Magazine, and by publishing the same we do not endorse any of the discrepancies in the article.
Playback Singing ke Sehenshah
Mohammed Rafi ki mrityu 31st july ko raat ke 10 bajkar 25 min par Bombay hospital me hui. Ussse pahle jab unke dil me dard utha tha to unhe Mahim par National Hospital laya gaya. Jab unka dil puuri tarah se block ho gaya to unhe pace making ke liye Bombay hospital le aaya gaya jahan doctor ki koshish unhe bacha na saka.
Mrityu ke samay unke 3 ladke, ek ladki aur damad London me the. Unki patni, ek anya ladki aur damad aur kuchh anya rishtedar mrityu ke samay unke bistar ke paas maojud the.
Jaise hi 10 bajkar 25 min ke baad unki mrityu ka samachar aaya to badi badi filmi hastiyan hospital ke or daud pade. Jahan se unka shab unke nibassthan bandra laya gaya aur subah Mohammed Rafi ke bandra niwas par hazaron log jama ho chuke the. Jinme raj kapoor, dharmendra, vinod mehra, randhir kapoor saira banu; gayikaon me lata mangeshkar, asha bhosle, usha mangeshkar, kishore kumar, sulakshana pandit aur sangeet karon me naushad , kalian ji anand ji, laxmikant pyareal ullekhniya hain.
Lata mangeshkar, asha bhosle aur usha mangeshkar ne unke shab malayein chadhakar unhe antim samman diya. Saira banu ke saath unki maa nasima ne bhi mohammed rafi ke shab par mala chadhai. Mohammed Rafi ke niwas par jo filmi hastiyan nazar aa rahe theunme Bombay ka sheriff dilip kumar aur manoj kumar ka naam ullekhniya hai.
Yojna ke anusar unki shab yatra London se unki 3 bete, ek beti aur damad ke aane ke baad shuru hona tha- lekin woh chuki shukrabar ko pahuch nahi sakte aur ramzaan ka shukrbaar shubh samjha jata hai isliye agle agle roz tak unka intezaar karne ka soch chhod diya gaya. Unka janaza jiske saath rishtedaron aur filmi hastiyan ke atirikt hazaron logon ki bhi bhid this pahle unhe unke niwas se bandra ki jama masjid tak le aaya gaya. Jahan shukrabar dopahar ke namaaz ke baad namaz a janaza ada ki gayi. Barish ke bawajud masjid par hazaron logon ki bhid thi. Wahan se janaza do baje nikala gaya aur unka safar juhu ke kabristanki taraf shuru hua. Kabristan se masjid koyi 6 kilometer hai. Mohammed rafi ka shab truck me rakha hua tha jiske saath saath hazaron log chal rahe the. Aakhir unki shab yatara 4 baje wahan pahuchi. Ek baar to bhid itni badh gayi ke police ko halka lathhi charge karna pada. Bahut sare log pedon par aur chaton par khade hue the taaki wahan se mohammed rafi ka antim darshan achchi taah se kar paye. Bhid us waqt niyantran ke baha hui jab filmi hastiyan kabristan me aana shuru kiya. Kabrstan me maujood hastiyon me jasraj, dilip kumar, raj kapoor, sunil dutt, rajendra kumar, sanjib kumar, , amitabh bachchan, binod khanna, randhir kapoor, amjad khan, kader khan, rakesh oshan; music directo naushad, salil chowdhury, sudhir phadke, rabindra jain, kalian ji –anand ji, rajesh roshan, laxmikant pyarelal, S mohinder, gulshan bahl, sardul kwarta; gayak mahendra kapoor, nitin mukesh; geetkaar rajendra krishan, qamar jalalbadi, anjaan, hasrat jaipuri, bharat vyas; nirmata OP ralan, yash chopra, ramanand sagar, subhas desai, manohan desai, prakash mehra, nasir hussain, SM rahi aur ved rahi nazar aa rahe the.
Mohammed Rafi ke mrityu ke baad lata mangesgkar ne kaha ki kundan lal sehgal ki mrtiyu ke baad Mohammed Rafi ne unki jagah bhar diya tha, woh ghazal, geet, qawali,bhajan,lokgeet har prakar ke geet ga sakte the.
Yeh this hai , KL sahgal ki jagah Mohammed Rafi jaise gayak ne bhar diya. Kyunki jab kundan lal sahgal ki mrityu hui thi to Mohammed Rafi jaisa gayak tha jo har prakar ki geet ga sakta tha lekin Mohammed rafi ki mrityu ke saath lagta hai ki filmon se sangeet ka yug hi samapt ho gaya hai. Aaj ek bhi gayak aisa nazar nahi aata jo unki jagah le sake.
Unpar kundan lal sahgal zikr aaya hai to mujhe ek ghatna yaad aa gayi. Lahore me George the 6th ke tajposhi ke khushiyan manayi ja rahi thi, us awsar par wahan eke k sangeet samaroh ayojit kiya gaya tha, jiska incharge pyarelal sood the. Us samaroh me kundan lal sahgal aanewale the. Mohammed rafi ke bhai ne pyarelal sood ko kaha tha ki unka bhai Mohammed Rafi bahut achcha gata hai use bhi us samaroh me gane ka maoka diya jaye. Pyarelal sood ne ne kaha main wada nahi karta lekin tum use lekar aa jana.
Mohammed Rafi itni si baat se hi khush the ki chalo mahaan gayak sahgal ko dekhne ka awsar milega. Pahle geet sunkar sahgal ne kaha, ladka achcha gar aha hai,gaane do. Dusra geet sunkar sahgal ne kaha fir milenge aur unka fir milne ka wada bhi jaldi hi pura ho gaya. Uske baad woh film shahjahan me mile jisme Rafi aur sahgal ne saath gaya tha.
Mohammed rafi ko bachpan se hi gane ka sauk tha.lekin unhe gane ka shauk kaise hua tha ye bhi dilchasp kahani hai aur jiska zikr ab tak Hindustan ke kisi newspaper me nahi hua. Ya aap sarv pratham filmi kaliyan me padhenge. Yeh baat mohammed Rafi ne bahat pahle ek interview me bataya tha.
Yahan hum aapko ye bhi bata de ke unka janm 24 dec 1924 ko Amritsar ke kotla sultan singh me hua tha. Jis muhalle me wo rahte the wahan ek faqir bhikh mangne aaya karta tha aur gaa kar bhikh manga karta tha. Mohammed Rafi uskiawaz sunkar hi ghar se bahar aa jate the. Ab tak wo faqirwahan bhikh mangta tha, woh unke saath rahte the. Bas wohi se unhe gane ka shauk hua.
Us faqir ki sangat me hiunhe gane ka shauk hua. Nahi to unke pariwr me gane ki koi riyayat nahi thi. Mohammed Rafi ki pratibhak ko prtosahan me unke bhai hamid ka bahut bada haath raha, jinhone unhe ustad wahid khan aur ustad jawahar lal matto se milwaya. Mohammed Rafi ne unki shagirdi ki. Badi lagan se sangeet ka addhyan kiya.
Yeh us jamane ki baat hai, jab mook filme bana karti thi, lekin! Jab rafi kishor avastha mein hi the to filmone bolna bhi suru kar diya. Aalamara san 31 me bani aur usme pahla geet dablu am khan ne gaya gaya tha, dey dey khuda ke naam par. Mohammed rafi ko film ke liye gane ka pahla avsar Punjabi film ‘gul baloch’ me mila. Gana tha, sohniye ni hiriye ni.
Un dino rafi apne bhai ko lekar sangeet karyakramo me jate rahte the. Jaaladhar ke ek mele me wah muhammad rafi ko le gaye jo kundan lal sahgal ka sahar tha. Us sehar ke log us mele me mohammed rafi ki awaz par mugdh ho gaye. Vahin abhineta Nazir jo swarnalata lata wali laila majnu ke hero the ne unhe suna aur rafi ki awaz se itne prabhawit huye ki unhe bambai ane ka nimantran de diya. Yun sangeetkar naushad ka kahna hai ki mohammed rafi unke naam luckhnow se unke rishtedaar ki chitthi lekar aaye the. Vah yeh baat san 31-32 ki batate hain. Ho sakta hai rafi ke bhai hashim ne naushad ke sambandhi ka patra prapta kar liya ho, lekin 31-32 mein 24 ke paida huye rafi ki umr kya hogi. Ho sakta hai naushad sahib ko san theek se yaad na raha ho. Kyonki un dino talki shuru hi hui thi aur 31-32 me naushad sahib ka koi khash mukaam nahi tha. Haan san 41 ke lagbhag unhone rafi ko ‘pahle aap’ me gane ka avsar diya tha. Yah film kardar ne banayi thi. Kardar ko lahore se bhagkar bambai aana pada tha, kyonki unhone wohaan bahaar akhtar ko lekar ek film banayi thi. Bahar akhtar ke ghar walon ne kardar par ladki bhagane ka ilzam lagaya tha aur woh film ke negative jalakar bambai aa gaye the. Bahar akhtar aur sardar akhtar do bahnein thi, jinme bahar kardar ki patni bani aur sardar ne mehboob khan se vivah kiya tha.
’Pahle Aap’ se pahle rafi ne film ’laila majnu’ me koras gaya tha. Us film ke sangeetkar the pandit govind ram. Us korus me mohammed rafi saadharan gaayak the aur mukhya gaayak the mastan. Om shivpuri ke bhai. Ab kudrat ka khel dekhiye, jab ke. Aasif ne ’laila majnu’ par love and god shusu ki to usmein bhi ek korus rakha gaya aur us koras me mohammed rafi mukhya gaayak the aur mastan saadharan gaayak. Shuru-shuru me mohammed rafi ko saadharan gaayak ke roop me bhi gana pada. Bombay talkies ki film majdoor ke korus me mohammed rafi ne gaaya tha. Iska rahasyodghatan sangeetkar chitragupt ne kiya tha. Kyonki majdoor ke us geet me woh mohamemd rafi ke saath the.
Mohammed rafi ko pahli baar lokpriyata mili film ‘jugnu’ se. Is film me unhone ’woh apni yaad dilane ko rumaal purana chhod gaye.’ Wale geet me dilip kumar ke saath abhinay bhi kiya tha. Yehaan badla wafa ka bewafai ke siwa kya hai aur muhabbat karke bhi dekha muhabbat me bhi dhokha hai, geet ke saath unki prasiddhi pure desh me phail gayi thi.
Yehaan yah batana bhi ullekhniye hoga kee jis film mein Mohammed rafi ne pahli baar sehgal ke saath gaya tha, usi film mein naushad ke liye sehgal ne bhi pahli baar gaya tha. Uske baad naushad ke sangeet nirdeshan mein rafi lagaatar gate rahe. Yehaan mujhe film ’shaheed’ yaad ati hai. Is film mein mohammed rafi ne ek geet gaya thaa, watan ki raah mein watan ke naujawaan shaheed ho.
Jab dilip kumar ki bahen ne woh geet suna tha to woh hichkiyaan le kar rone lagee thi.
Mohammed rafi apne geeton me apni bhavnayein bhar dete they.
Yehaan mujhe film ‘baiju bawra’ yaad aati hai. Us film ka ek geet tha, ‘oh dunia ke rakhwale sun dard bhare mere nale’, is geet me praan dalne ke liye mohammed rafi ne apne prano ki parwaah nahi ki thi.
Shaayad aaj bahut kam log jante hain kee yeh geet gaate huye mohammed rafi ke gale se khoon aa gaya tha, us ek udahran se yah pata chalta hai kee woh kisi bhi geet ko gane ke liye kitni mehnat karte the. Jo bhi gate they, uski ‘perfection’ ke liye jaan ki baazi laga dete they.
Aisi he ek ghatna mughale aazam ke gete ki recording par hui thi. Aye muhabbat zindabad mein unhone apni aawaz ko jitna uncha uthaya hai kya koi utha sakta hai, lekin us aawaz ko itna uncha uthate-uthate woh swayam behosh ho gaye they.
Aaj kla ke prati aisa samarpan kya kisi gaayak mein hai?
Kya dunia ke itihaash me koi aisa gaayak milega. Jisne apne 35 varsha ke filmi jeevan me 26000 geet gaye hon. Woh hindi fimlo ka ek house hold naam ban gaye the. woh bhaarat ke sangeetmay jeevan ka ek atoot hissa ban chuke the. jo 26000 geet unhone gaye hain. Woh shaadi-vyaah, maut, such-dukh, har avsar par logon ko mohammed rafi ki yaad dilate rahenge. Shaadi me ladki ki vidayi ke samay babul ki duaayein leti ja, ja tujhko sukhu sansar mile, sunkar kiska dil nahi bhar aayega. Jeevan ka aisa koi bhi avsar nahi jiske liye mohammed rafi ka record na ho. Koi bhi aisi bhavna baaki nahi bachi jisse unhone apni aawaz se abhivyakt na kiya ho.
Sabse badi vidambana to yah hai kee aaj hindi filmon me ek bhi aisa gaayak nahin hai jo mohammed rafi ki jagah le sake aur aaj har darshak ek hi sawaal puchhta hai kee mohammed rafi ke baad kaun? Ek zamane me mahendra kapoor ne unki jagah lene ki koshish ki thi, lekin mohammed rafi se milti-julti aawaz hone ke baavjood use na sahir ke geet aur na hi ravi ka sangeet aur na lata ka saath hi mohammed rafi bana paya aur na hi anwar hi mohammed rafi ban sakta hai. Kyonki mohammed rafi se milti-julti aawaz se hi koi mohammed rafi nahi ban sakta, uske liye saadhna ki jaroorat hai. Kya koi gaayak itni mehnat kar sakta hai kee woh dunia ke rakhwale, gaate-gaate woh apne mohammed rafi ki tarah apne gale ka khoob bhi baha de. Kya koi aawaz ko upar uthane ke liye mohammed rafi ki tarah behosh hua hai.
Kya aaz koi aisa gaayak hai jo mohammed rafi ki tarah sada aur paak jeevan jee sake. Filmi dunia mein rah kar bhi vivadon se door rah sake. Jab woh is dunia se gaye to unka daaman paak thaa. Unke charitra par ek bhi daag aur dhabba nahi tha.
Yah mohammed rafi ki saadhna hi thi kee woh jeevan bhar lokpriya rahe. Nahi to talat mahmood jitney achhe gaayak they. Unhe ghazalon ka badshah kaha jata hai, lekin unki lokpriyata unke jeevan mein hi khatm ho gayi, kyonki woh mohammed rafi ki tarah har prakar ke gaane nahi gaa sakte the. mukhesh bhi mrityu se pahle ek baar gumnami ke daur me chale gaye the. raha kishore kumar to uska shor bhi mohammed rafi ki jagah nahi le sakta. Us kai baar khud apne liye mohammed rafi ki aawaz udhaar leni padi.
Ab to aisa lagta hai, sehgal aur mohammed rafi jaise gaayakon ka daur ab nahi aa sakta.
Dilip Kumar
Mohammed rafi aadmiyon me ek heera the, jinki vinamrata aatma-prabhavit vaiyavhaar ne unhe desh videsh me lokpriya bana diya tha.
Naushad
Main yah dawa nahi karunga kee maine mohammed rafi ke career mein uski sahayata ki, balki mohammad rafi ne meri aise bahut se geet gaakar meri khyati ko padhava diya jo sirf wahi ga sakte the.
Lata Mangeshkar
sangeet ka ek yug ke. Al. Sehgal ki mrityu ke baad samapt hua aur ek mohammed rafi ki mrityu ke saath samapt ho gaya. Yah mera saubhagya hai kee mujhe 33 varsha tak unka saath mila. Gaayak aate rahenge, jate rahenge lekin mohammed rafi ko humesha yaad kiya jayega.
Talat Mahmood
mohammed rafi ramzan ke dino me khuda ko pyare huye, woh bhi satrahvein rojey ko, jisse yah siddha hota hai ki woh insano ko hi nahi khuda ko bhi pyare they.
Manna Dey
jis taraf mohammed rafi geeton ko apni bhaavnaon se bhar dete they, uska koi muqabla nahi.
Mahendra Kapoor
jab mere pita ki prityu hui thi to maine mehsoosh kiya tha kee rafi saahab hi mere pita hain, kamsekam sangeet mein. Lekin ab unki mrityu ke saath main apne aapko anaath mahsoosh kar raha hoon.
R. Kaushik
woh mahaan gaayak hi nahi mahaan insaan bhi the. Unhone kabhi jindagi me kisi ko ’na’ nahi ki. Main aise bahut sare chhote nirmataon aur sangeetkaron ko janta hoon, jinke geet woh naam maatra ki rashi lekar gaa dete they, balki kai baar muft bhi.
Manoj Kumar
mohammed rafi ki mrityu par yah baarish dekhkar mujhe lag raha hai, ki yah baarish nahi devi saraswati ke aansoon hain.
No comments:
Post a Comment